Kaif Saifi Qadeeda : Ghar Ka Pata


Kaif Saifi2023/09/15 17:16
Follow

Ghar Ka Pata

•••••••••••••••••••••••

Ek gamgeen betha hua ladka

Taal ke nukkad pe kai chai or cigarette pi jata hai

in khayalon mei gum, ki kabhi kisi ne be-rang jindgi mei Ishq ke rang ghole the

Kabhi kisi ne mohabbat ke khwaab dikhaye the

Magar ab ye ek be-noor se Ghar mein kahin kisi taraf ek kamre mei, kamre ke ek kone mei

Bikhra hua or aankhon se tapakte aanshuon se Ishq ko mout likhta hai or likhta hai ishq khoon mangta hai ...

Shurkh aankhein hain or khud se khud ka pata puchhta hai ...

Kahta hai jaha maiiushi dera dale bethi ho,

Sham suraj ke guruub pe roti ho

Gulab apni khushu se chidta ho

Chand ko chandni se nafrat ho

14vi ki raat bhi jahan be-noor ho

Jahan bachhon ke chehron pe jhuti muskurahat ho

Jaha log muskurate hue ro dete ho

Wahin usi gaon mei , ek rasta hai

jo udashiyon se hote hue tanhaiyon ke mod tak jata hai

Us mod pe, ek pipal ke ped pe

kuch rote hue parinde milnge

Wahi thoda aage phir hum-umr walo ke tute khwaab pade milnge

Jo Ishq ko jhoot kahenge, mohabbat ko fareb kahenge

us gali mei kisi se wafa ke moju pe tum bahas na karna, Varna tumse bo jhagad padenge

Samjh lena ye 'Kaif' ke mureed milnege

Esi be Noor , Andheri si gali mei jahan na koi saya na chirag milta hai,

Sidhe chale aana isi gali mei 'kaif' ke Ghar ka pata milta hai ...

- Kaif Saifi ( @kaifsaifisays )

Share - Kaif Saifi Qadeeda : Ghar Ka Pata

Follow Kaif Saifi to stay updated on their latest posts!

Follow

0 comments

Be the first to comment!

This post is waiting for your feedback.
Share your thoughts and join the conversation.