Yaad aata hai wo bachpan ka zamana aksar, Ek chhote se khilone pe machal jaana aksar.
Na fikr-e-kal thi, na duniya ki khabar hoti thi, Wo bewajah hi hansna aur muskurana aksar.
Chaho to laut aaye wo bachpan kisi tarah, Dil ye khwaab dekhta hai purana aksar.
Wo baarishon mein kagaz ki kashtiyan banana, Wo paani mein khud hi khushi dhoondh lana aksar.
Yaar ab lautkar wo daur kahan aayega, Dil ka beete hue lamhon pe pachhtana aksar.
'Kaif' bachpan to gaya, umr bhi dhalti gayi, Dil ka phir bhi usi umr mein reh jaana aksar.
- Kaif Saifi
Follow Kaif Saifi to stay updated on their latest posts!
0 comments
Be the first to comment!
This post is waiting for your feedback.
Share your thoughts and join the conversation.
