Shadi ki zimmedari


Sarfaraj ahmad2022/12/03 15:25
Follow

Ek ghar me 7 Bhai rehte the aur unki maa Ye 5 saal pehle ki baat hai ,Ek jo Sab se chota Bhai  tha bahar kaam karta tha  aur befikar ho ke azaad zindagi  jeeta rehta  tha lkn Ek din bade Bhai ki shaadi ki baat hui jis ladki se Bhai ka rishta laga tha uske ghar   Mein Koi kamane wala nahi tha 5 bahen  Thi us ladki ki ghar ki sabse badi ladki Thi wo jiski shadi mere Bhai se honi Thi ladki ke Ek  cha cha the wo apni beti ki shaadi karrahe the to un ho ne mere ghar walo se shaadi ki baat ki unho ne Kaha meri beti ki shaadi karraha hun main agar meri beti ke saath meri bhatiji ki bhi ho jayegi shadi to Bahot Accha hoga kyo ki meri bhatiji ke yaha Koi kamane wala bhi nhi hai aur uske papa ki death ho chuki hai agar meri beti ke saath bhatiji ki bhi hoti hai to unhe khane pine ke liye kharch nhi Karna parega main khane pine ka kharch utha lunga  Bahot Accha hoga agar aap log meri bhatiji ki bhi shadi isi me karle to  ,lekin ladke ke Bhai log nahi mane unhone kaha ham Abhi na

Shadi ki  zimmedari

Ek ghar me 7 Bhai rehte the aur unki maa Ye 5 saal pehle ki baat hai ,Ek jo Sab se

chota Bhai  tha bahar kaam karta tha  aur befikar ho ke azaad zindagi  jeeta rehta  tha lkn Ek din bade Bhai ki shaadi ki baat hui

jis ladki se Bhai ka rishta laga tha uske ghar  

Mein Koi kamane wala nahi tha 5 bahen 

Thi us ladki ki ghar ki sabse badi ladki Thi wo jiski shadi mere Bhai se honi Thi ladki ke Ek 

cha cha the wo apni beti ki shaadi karrahe the to un ho ne mere ghar walo se shaadi ki baat ki unho ne Kaha meri beti ki shaadi karraha hun main agar meri beti ke saath meri bhatiji ki bhi ho jayegi shadi to Bahot Accha hoga kyo ki meri bhatiji ke yaha Koi kamane wala bhi nhi hai aur uske papa ki death ho chuki hai agar meri beti ke saath bhatiji ki bhi hoti hai to unhe khane pine ke liye kharch nhi Karna parega main khane pine ka kharch utha lunga 

Bahot Accha hoga agar aap log meri bhatiji ki bhi shadi isi me karle to  ,lekin ladke ke Bhai log nahi mane unhone kaha ham Abhi nahi karenge apne Bhai ki shaadi kyo ki hamare paas Koi intezaam Abhi nahi hai shaadi ke liye aur shadi ke baad ladki ayegi to rahegi Kaha uske liye alag se Koi

room Abhi nahi hai  is liye Abhi shaadi nahi karenge ladki ki mammi Bahot pareshan ho gayi aur fir Kaha ki Thik hai agar Rehne ke liye Abhi room nhi hai to Koi baat nahi shaadi karlo jab room ban jaye Rehne ke liye to ladki ki vidayi aake le jana lekin itne se bhi ladke ke Bhai log nahi mane ladke ke bhi papa nahi the sirf maa aur  7 Bhai the jab Koi taiyar nahi hua to ladki ki maa ne ladke ki maa se Bahot sifarish ki shaadi ke liye lekin ladke ki maa ne Kaha main kya karu mere bete hi nahi taiyar hain kyo ki Sab to un ko hi Karna hai ladki ki maa ne fir se Bahot sifarish ki fir ladke ki mane Kaha mera Ek sabse chota beta bahar kaam karta hai usko ane do fir usse baat karti hu  

Sham ko jab chota beta ghar aya to maa ne bataya use ki beta aesi aesi baat hai tumhare Koi Bhai log taiyar nahi hai kya hoga to bete ne Kaha maa Tum fikar mat Karo wo log is liye mana karrahe hai kyo kahi unhe apni jeb se paise na lagane pade  maa Tum fikar mat Karo mai baat karta hu Sab Bhai se chota beta  gaya aur sabhi Bhai yo se Kaha

jab shadi kar ne ki baat ho rahi hai to Tum log kyo nahi taiyar ho akhir ladki walo ki majboori hai is liye wo keh rahe hain agar Tum log Ye soch ke nahi Karna chate ki paise laga ne padenge to Thik hai Tum log Ek paisa mat lagana main intezaam kar lunga Tum log 

Bade Bhai ho apni zimmedari ko nibha Dena bas  itna sunte hi Sab Bhai logo ko gussa aagaya aur wo log bole ki ab Tum Sab ke baap ban gye ho Tum shaadi karaoge jao jaise chahe karo shaadi lekin ham logo se Koi matlab mat rakhna  itna sunke wo chala gaya jab ki use is bare me Kuch nahi pata tha ki shaadi ke liye kya kya intezaam Karna hai 

Kitna kharch hoga lekin us ne himmat nahi chodi usne apne sare dosto se milke baat ki aur Kaha aesi aesi baat hai mere bade Bhai ki shaadi karni hai aur Koi Bhai taiyar nahi hai

Maine zimmedari leli bade Bhai ki shaadi karane ki lekin mujhe is bare Mein Zara bhi pata nahi hai ki shaadi ke liye kya kya Karna hota hai aur mere ghar me mera saath dene wala bhi Koi nahi hain main kya karu aur to aur Maine zimmedari to leli shadi ki lekin paise ka bhi intezaam Karna hai aur meri zyada jaan pehchan bhi nahi hai kisi se ki udhaar manglu to dosto ne Kaha fikar mat Karo hamse jitna hoga ham kosis karenge baki Tum bhi pata Karo agar Koi udhaar de de Kuch mahino ke liye to le Lena  mehnat karke use Kuch mahino me Wapas kar Dena  

Fir main ne Bahot kosis ki logo se udhaar manga unko apni majburi bhi batai lekin kisi ne meri madad nahi ki fir Ek dost ne

bataya ki loan  ke liye try Karo sayad miljay Maine wo bhi try liya lekin Koi kaam nahi aya Maine apni ma se keh diya tha ki mai kaise bhi kar ke shadi karaunga Bhai ki Tum fikar mt Karo lekin maa ko chain Kaha milta hai jab uska beta pareshan ho  maa baar Sab Bhaiyo ke paas Jake kehti rahi ki wo chota hai kaise karega Tum log  Kuch Karo lekin sare Bhai apni akad me the bole ab wo sabka baap banne ki Kosis karraha hai 

Jab pareshan hoga to akal thikane aajaygi  

Lekin wo bhi kya karta bechara wo apne wade ka Bahot pakka tha usne haar nahi Mani 

Kisi ne use bataya ki Aurat ko loan mil jayga fir usne apni maa ke naam pe loan ke liye bank pahocha lekin wahan bhi bank walo ne Kaha 50 saal se kam umr walo ko loan mile ga aur uski ma ki umr 55 saal Thi  usne bank walo se Bahot shifarish ki usne majburya bhi batai lekin kisi ne nahi Koi madad nahi ki bank ke bahar nikalte hi Ek saksh Mila use jo bank me hui sari baat sun raha tha usne hamdardi jata te huye Kaha ki main  ,loan dila dunga Tumhari maa k naam se hi us ladke ne ka sir Bahot ehsaan hoga aapka please...  Dila dijiye Main Bahot jaldi hi Wapas kar dunga aur Kuch 

Zyada bhi de sakta hu ,us saksh ne ladke ki majburi sunke usne use loan dilane ke liye Kosis ki bank se baat karke usne loan dila diya wo ladka Bahot Khush hua aur us shaksh ko sukriya kehte huye Bahot saari dua Ye 

Fir wo apne bade Bhai ki shaadi ki taiyari me lag gaya Bahot khush the Sab dono Bhai aur maa bhi shaadi acche se ho gyi Sab Kuch acche se bit gaya lekin shadi ke dusre hi din achanak se ladke ki maa ko daure

padne lage Sab unhe hospital lekar gye lekin thodi hi der me maa ko death ho gyi khusi matam me badal gyi Bahot din beet gye aese hi 

Wo chota beta jo Bahot khusi mizaaz Rehne wala ladka khamosh Rehne laga udaasi har waqt uske chehre pe Aaj bhi rehti hai sir wo agar zor se harta bhi hai to ansoo nikal jate hai Aakhose  jis maa usne wada liya ki bade Bhai ki shaadi karunga kaise bhi karke, aur jab shaadi ho gyi to ab wo maa hi usse door ho gyi  

Lekin jis bade Bhai ki shaadi karayi Chote Bhai ne uski wife us chhote Bhai ko Bahot maanti hai Bahot pyar karti hai usse Bahot khayal rakhti hai wo husband ke chhote Bhai ka 

 ............

 

 

 

Share - Shadi ki zimmedari

Follow Sarfaraj ahmad to stay updated on their latest posts!

Follow

0 comments

Be the first to comment!

This post is waiting for your feedback.
Share your thoughts and join the conversation.