Siwa Tere


Akhtar2022/09/29 20:09
Follow

Siwa Tere

Siwa Tere

Siwa uske is Jahan mein Rakkha kya hai,

Paharon mein chattano ke siwa rakkha kya hai...

Baharon mein kabhi na kabhi chhani hai khiza.

Phir aye dost is baharon mein Rakkha kya hai...

Yun to bada dilchasp lagta hai lekin,

Samandar mein aab o gard ke siwa rakkha kya hai...

Jo baaqi na rahe to kya faida is nazare ka,

Fana ho jane wale sheh mein Rakkha kya hai...

Charind, Parind, shajar, Hawan o Insaan...

Inke Taqdeer mein Marne ke siwa rakkha kya hai...

Faqr karte ho naaz karte ho jispar,

Khaak mein Milne ke siwa jism mein Rakkha kya hai...

Wo Jo haq hai usi ki hi bus ibadat ho,

In bejaan khudaon ke ibadat mein rakkha kya hai....

Zouk e bandagi hi asal kunji hai warna,

Be lous sajdon mein sar patakne ke siwa rakkha kya hai...

Doulat ke peeche jo laga dil o Jaan se Akhtar.

Do ghaz zamin ke siwa tera is dunya mein rakkha kya hai.

Share - Siwa Tere

Support this user by sending bitcoin - Learn more

Follow

0 comments

Be the first to comment!

This post is waiting for your feedback.
Share your thoughts and join the conversation.