Prem ka prateek


Nameless2022/07/06 10:37
Follow

Prem ka pratik

Jab mera janam hua

Koi tha jo chupkar roya

Maa ne apni kok me paala

Aur unhone mera har ek dukh dard sambhaala

Beti kya ansh bdhaegi

Sabki khadi khoti sunkar bhi

Mere liye aawaj uthai

Unki beti unka gaurav banegi

Yahi umeed me mujhe khul ke jeena sikhaya

Na samaaj ki bediya

Na shaadi ki jaldi

Na suit salwaar pehenne ki zabardasti

Na hasi dabani ki marzi

Na salike se baithne ko kaha

Na pdhai chod ghar ke kaam sikhne ko kaha

Unhone har ek cheez me bas mere haath thama

Maa ne bhut bola

Dusre ke ghar isee jana hai

Unhone bola ki isse pehle khud ka ghar banana hai

Jo farmaish ki kuch hi minute me poori hogyi

Sofe pe soke subah bed pe uthna mai to jaadugar ho gyi

Bde hote hote unke har ek gham pehchana

Jataya to kabhi nahi pr

Sachee dil se bas unhe hi rab maana

Unke jaisi ban jau bas yahi jeevan ka lakshya bnana

Beti beta me na frk krke

Meri udaan ki wajah bnna

Mere ladkhdate pairo ko sambhalna

Meri har ek khushi me mujhse jyada khush hona

Mere jeevan ki shaan

Mere abhimaan

Unke bina to mai aadhi bhi nhi

Unki bina meri barbaadi hi

Ase hai bs mere papa

Share - Prem ka prateek

Support this user by sending bitcoin - Learn more

Follow

0 comments

Be the first to comment!

This post is waiting for your feedback.
Share your thoughts and join the conversation.