Mazdoori.....


Guest2023/12/30 19:43
Follow

Discussion with Islamic person

Suwal: Ayk shakhs ko goverment mulazmat hay magar duty par nahin jata aur har mahinay pehli ko tankhuwah lay layta hay, kiya uska yeh tariqa durust hay? Aur wo sadqa-o-khayrat bhi karta rehta hay kiya us ka khayrat karna jaiz hay? Jawab: Agar wo duty nahin dayta aur dhokay say tankhuwah bataur layta hay to yeh pori ki pori tankhuwah haram hay.3 Uskay zari’ay zakaat khayrat bhi nahin kar sakta kiyun keh yeh us kay paysay hayn hi nahin na yeh unka malik hay agar cheh un par qabzah isi ka ho, us par farz hay keh jahan say yeh raqam batori (li) hay wahan wapis karay aur sath sath taubah bhi karay.4 Suwal: Nabaligh say pani bharwana kaysa hay? kiya ustad us say pani bharwa sakta hay? Jawab: Walidayn ya saith jis ka yeh mulazim hay us kay siwa kisi kay liay na baligh say pani bharwana jaiz nahin aur na baligh say pani bhara howa pani jo keh shar’an us ki milk ho jaay kisi aur kay liay us ko iste’mal mayn lana jaiz nahin.

Share - Mazdoori.....

Follow Guest to stay updated on their latest posts!

Follow

0 comments

Be the first to comment!

This post is waiting for your feedback.
Share your thoughts and join the conversation.