Tarika bahut chota bahut saral shabd hai. Jab ham iska naam sunte hai tab hame lagta hai ki hame bhi apna kaam tarike ke sath karna chahiye tha . Khair is baat par hame gaur karna chahiye ki tarika hi hai jo hame har kaam me hamko safal banata hai. Bina tarike ka rahan sahan acha nhi hota. Bina tarike ka hamara khan paan sahi nhi hota. Bina tarike ka hamara vyaktitva acha nhi hota. Yani ki ak saral bhasa me samajhiye tarika hamare jivan ke har ak kaam ke piche apna ahem kirdaar nibhata hai. Aur hame ise samajhna chaiye. Anyatha kisi bhi sthiti me hamare paas koi vikalp nhi hai ak tarika ke shiva.