Tum Jab aogi to khoya howa paogi mujha
tum jab aaogī to khoyā huā pāogī mujhe merī tanhā.ī meñ ḳhvāboñ ke sivā kuchh bhī nahīñ mere kamre ko sajāne kī tamannā hai tumheñ mere kamre meñ kitāboñ ke sivā kuchh bhī nahīñ in kitāboñ ne baḌā zulm kiyā hai mujh par in meñ ik ramz hai jis ramz kā maarā huā zehn muzhda-e-ishrat-e-anjām nahīñ pā saktā zindagī meñ kabhī ārām nahīñ pā saktā