Foji Ka parivaar
Aaj baithe baithe kr rhi thi ye vichaar
Foji k Bina kse rhta hoga uska parivaar
Kse rhti hogi vo maa jo Apne haath se use khana khilaati thi
Gum me uske roti thi or Khushi me muskuraati thi
Ab sochti hogi JB vo chutti aayega
Uske liye ye ye pakwaan bnaungi
God me rkhkar SAR uska pyaar se usko sulaungi
Yaad krti hogi vo BHI usko
Jiski pal Bhar BHI na usse pat ti thi
Vo choti bhn uski
Jo har baat pe usse ladti thi
Ab har rakshabandhan uska akele Nikal Jata hoga
Sabke bhaiyon ko dekhkar use Bhai bahut Yaad Aata hoga
Vo papa BHI Yaad krte honge usko
Jo baat baat pe use daant lgaate the
Koi kaam nhi kr skta Tu
Yhi khke uspe chillate the
Jootha tha ye chillana unka
Ab vo BHI use Yaad krte honge
Beshak dikhao Mt Kisi ko par
Bete ki Yaad me vo BHI siskiyaan bharte honge
Kse rhti hogi vo jisne uske sang Shaadi rachai thi
Ardhangni bnakr Jo ghr me uske aayi thi
Kse gujrta hoga uska har pal
JB vo sindoor lgaati hogi
Us har pal me usko ,Yaad foji ki aati hogi
Jldi Ghar par aayenge papa khkar pyaar se
Bachho ko sahlaati ogi
Apne Dil par patthar rkhkar man ko yuhi bahlaati hogi
Ye sab likhkar hi meri aankhon me aansu aa rhe h
Dhanay h vo parivaar jinke bete foj me ja rhe h 🙏🙏🙏🙏🙏
Written by
Thivayam
0 件のコメント
この投稿にコメントしよう!
この投稿にはまだコメントがありません。
ぜひあなたの声を聞かせてください。