Mere shrimaan!
Mere bacho ki shaan
Mera abhimaan
Mere parivaar ka samaan
Aise hi hai bas mere shrimaan
Bachapn se sirf garibi dekhkar
Itna ucha naam kamaya
Garibi me palke bhi
Hame har ek suvidha prapt karaya
Na koi saath dene wala
Na paise na ghar na naukri
Bas hath me ek choti si lakshmi
Aur shuru kar diya hmara suhana safar
Shuruwat me khub thokre khai
Himmat tuti honsla hila
Par wo khade the bane ek mjboot kila
Khud kamake mujhe aur bache ko padhaya
Mujhe har chiz ke kabil bnaya
Vetan thoda kam tha
shauk me koi kami na aane di
Sheher ki sabse sundar saree
Hamne jo maangi thi
Khud prathmik vidyalaya me padhke
Bacho ko ac school me padhaya
Mere har ek sukh dukh
Aur saath dene wale saathi
Galat mai hi kyu na hu
Mujhpe kbhi na chikhne wale saathi
Ufff Meri jaan
Aise hai mere shrimaan
Bahar se kathor
Andar se naram hai
Pyaar btane me thoda hichkichate hai
To bas meri fikar kar hak jatate hai
Gharwalo ko khud se upar rakh
Khud ko bhul jate hai
Khud ke sau dard bhulke
Ghar aate hi hame dekh muskurate hai
Hame dekh muskurate hai...!
0 件のコメント
この投稿にコメントしよう!
この投稿にはまだコメントがありません。
ぜひあなたの声を聞かせてください。